Hamare Waaday
"Mohabbat wafa mangti hai, aur nikah ek doosre ka sahara banne ka pak wada hai."
Meri Jaan Anam Ke Naam 10 Waaday π€
Har card par click karein aur dil se kiya gaya wada khol kar parhein.
Suleman Ka Khat Anam Ke Naam π
"Meri jaan Anam, Allah ka jitna shukar ada karoon kam hai ke meri zindagi mein aap aayi. Aap mere liye sirf meri mohabbat nahi, meri rooh ka sukoon, meri sab se pyari khushi aur meri zindagi ki sab se azeez insan hain. Main wada karta hoon ke aap ki hamesha respect karunga, aap ki choti choti khushiyon ka khayal rakhunga, aap ka wait karunga, aap ko miss karunga aur har din aap ko dobara choose karunga. Main chahta hoon ke hamara nikah sirf ek rishta nahi, balkay ek aisa safar ho jahan hum dono ek doosre ka sukoon, sahara aur strength banain. Main perfect nahi hoon aur mujh se ghaltiyan hongi, lekin main hamesha apni ghalti se seekhne aur aap ke liye behtar banne ki koshish karunga. Insha'Allah hum apna chhota sa ghar banayenge, Allah ka shukar ada karenge, saath hansenge, kabhi kabhi be-wajah larain ge, phir ek doosre ko manayenge, duniya dekhenge aur sab se pehle Hajj ka khwab poora karenge. Aur jab hum boorhe ho jayenge, tab bhi meri aankhon mein aap wahi meri choti si jaan, meri queen aur meri sab se azeez mohabbat hongi. Bas meri ek dua hai β Allah hum dono ko hamesha halal mohabbat, sukoon, barkat aur ek doosre ka naseeb bana kar rakhe. Ameen. β€οΈ"
Suleman β‘
Connecting to Database...
Suleman, Kya aap Wada Karty Ho?
"Hamesha Anam ka khayal, izzat aur mohabbat nibhane ka wada."
Anam, Kya aap Wada Karti Ho?
"Suleman ke sath har haal mein wafa aur sukoon banne ka wada."