Ek Din Do Dil, Aur Phir Hum.
"Mujhe nahi pata tha ke meri zindagi mein koi aise aayega jo meri mohabbat se zyada mera sukoon ban jayega."
Hum Se Pehle
SULEMAN
"Apni zindagi mein masroof, apne dreams aur responsibilities ke saath chal raha tha. Pata nahi tha ke Allah mere liye meri sabse khoobsurat nemat pehle hi likh chuke hain."
ANAM
"Ek khoobsurat, samajhdaar aur dil ki bohat achhi larki⦠jo meri zindagi mein aayi aur dheere dheere meri duniya ka sabse important hissa ban gayi."
"Phir Allah ne do alag zindagiyon ko mila kar aik aisi kahani likhi jise main apni sabse khoobsurat blessing samajhta hoon."
Jahan Se Hum Shuru Hue
Jahan Se Hum Shuru Hue
Pata nahi kis waqt aur kis tarah aap meri zindagi ka itna important hissa ban gayi. Pehle baatein hui, phir aadat bani, phir mohabbat hui⦠aur phir mujhe samajh aaya ke mera dil aapko apna maan chuka hai.
"Kabhi kabhi Allah kisi insan ko hamari zindagi mein isliye bhejta hai kyun ke woh hamari dua se bhi zyada khoobsurat jawab hota hai."
Hamari Choti Choti Baatein

"Jab aap meri zindagi ka hissa bani."

"Woh lambi lambi conversations."

"Jab mujhe realize hua ke aap mere liye normal nahi hain."

"Bewajah hansna aur pagalpan."
Pata Hi Nahi Chala...
"Kab aap woh insan ban gayi jise main apni har choti bari baat batana chahta hoon."
Aapki woh choti choti care jo mujhe feel karwati hai ke main waqai kisi ke liye important hoon.
Aap se baat karte karte waqt ka pata nahi chalta aur phir lagta hai bas thori aur baat karni hai.
Kabhi choti si baat par larai, phir narazgi, phir manana⦠aur akhir mein wahi mohabbat.
Aapki aik choti si baat bhi mere dil ko woh sukoon de deti hai jo mujhe kahin aur nahi milta.
Mujhe Aap Se Mohabbat Kyun Hui
Aapki Smile
Aapki smile dekh kar meri saari tension kahin na kahin chali jaati hai.
Aapki Awaaz
Aapki awaaz mein mere liye aik ajeeb sa sukoon hai. Aap se baat ho jaye to dil halka ho jata hai.
Aapki Care
Aap jis tarah choti choti cheezon ka khayal rakhti hain, woh mujhe bohat azeez hai.
Aapki Random Baatein
Aapki random baatein bhi main ghanton sun sakta hoon. Mujhe aap se baat karne ke liye koi special topic nahi chahiye.
Aapka Gussa π
Aapka gussa bhi mujhe apna sa lagta hai. Thori si narazgi, phir bohat saara manana.
Aap Mere Liye Sukoon Hain
Aap se baat na ho to pata nahi kyun dil bechain sa rehta hai. Aur aap se baat ho jaye to sab theek lagne lagta hai.
Aapka Hona
Sabse zyada mohabbat mujhe aapke hone se hai. Bas yeh pata hona ke meri Anam meri zindagi mein hai.
Hamari Yaadein
"Jahan se hamari kahani ne janam liya."

"Aik aur chota sa khoobsurat moment."

"Aapki smile aur mera sukoon."

"Woh baatein jo waqt se zyada yaad reh gayi."
"Hamare rishte ka aik aur khoobsurat qadam."
"Aapki aankhon mein woh khushi."

"Allah ka shukar ke aap meri hain."
"Aaj bhi aur hamesha bhi β saath."
Har Chapter Aasan Nahi Tha
"Humari misunderstandings bhi hui hain."
"Kabhi main naraz hua, kabhi aap naraz hui hain."
"Kabhi meri baat ne aapka dil dukhaya."
"Kabhi aapki khamoshi ne mujhe andar se pareshaan kiya."
"Lekin har baar dil ne yahi kaha β humein ek doosre ko khona nahi, samajhna hai."
Kyun ke hamari mohabbat perfect hone ki wajah se khoobsurat nahi hai⦠balki har mushkil ke baad bhi ek doosre ko choose karne ki wajah se khoobsurat hai.
Main Phir Bhi Aapko Choose Karunga.
Phir woh waqt aaya...
Jab mohabbat sirf aik feeling nahi rahi,
balki aik lifetime ka faisla ban gayi.
Hamara Wada
Aap Mere Liye Kya Hain
Aur Hamari Kahani Abhi Baqi Hai
Hamara Chota Sa Ghar
Aik chota sa ghar jahan main hoon, aap hain, Allah ka zikr hai aur bohat saara sukoon hai.
Subah Ki Chai
Aap mujh se 20 minute zyada so rahi hongi, main chai banaunga, aapko bachon ki tarah uthaoonga aur phir saath chai piyenge.
Hamara Pehla Safar
Duniya ghoomne se pehle hamara pehla aur sabse khoobsurat safar Hajj hoga, Insha'Allah.
Barsati Shaam
Baarish, chai, aap aur main⦠phir shayad baarish mein bheegte hue Allah ka shukar ada karna.
Bewajah Laraiyan
Khuch khuch bewajah larai, phir narazgi, phir manana, hugs, sorry aur phir wahi pagalpan.
Hamare Bachay
Unhein deen aur duniya dono ki taleem dena, aik doosre ki help karna aur mil kar unka khayal rakhna.
Budhape Tak Saath
Baal safed ho jayenge, chehre par wrinkles aa jayengi, lekin meri Queen ke liye meri mohabbat waisi hi rahegi.
"Agar mujhe hamari kahani dobara likhni hoti..."
"Hamari kahani yahan khatam nahi hoti."